Lag Ja Gale Lyrics – Jonita Gandhi, Raja Mehdi Ali Khan – Saheb Biwi Aur Gangster 3
Lag ja gale ke phir yeh
Haseen raat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakaat ho na ho
Lag ja gale ae ae
Humko mili hain aaj yeh
Ghadiyan naseeb se x (2)
Jee bhar ke dekh lijiye
Humko kareeb se
Phir aap ke naseeb mein
Yeh baat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakaat ho na ho
Lag ja gale ae ae
Paas aaiye ke hum nahi
Aayenge baar baar x (2)
Baahein gale mein daal ke
Hum ro lein zaar zaar
Aakhon se phir yeh pyar ki
Barsaat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakaat ho na ho
Lag ja gale ke phir yeh
Haseen raat ho na ho
Shayad phir is janam mein
Mulakaat ho na ho
Lag ja gale ae ae